Neeyat-e-shauq bhar na jaaye kaheen

नीयत-ए-शौक़ भर न जाये कहीं
Year
Language

नीयत-ए-शौक़ भर न जाये कहीं
तू भी दिल से उतर न जाये कहीं

आज देखा है तुझको देर के बाद
आज का दिन गुज़र न जाये कहीं

ना मिला कर उदास लोगों से
हुस्न तेरा बिखर न जाये कहीं

आरज़ू है के तू यहाँ आये
और फिर उम्र भर न जाये कहीं

आओ कुछ देर रो ही लें 'नासिर्'
फिर ये दरिया उतर न जाये कहीं

nīyat-e-śhauq bhar na jāye kahīṅ
tū bhī dil se utar na jāye kahīṅ

āj dekhā hai tujhko der ke bād
āj kā din guzar na jāye kahīṅ

nā milā kar udās logoṅ se
husn terā bikhar na jāye kahīṅ

ārazū hai ke tū yahāṇ āye
aur phir umr bhar na jāye kahīṅ

āo kuchh der ro hī leṅ 'nāsir'
phir ye dariyā utar na jāye kahīṅ