नवाज़िश करम शुक्रिया मेहरबानी
नवाज़िश करम शुक्रिया मेहरबानी
मुझे बख़्श दी आपने ज़िंदगानी
जवानी की जलती हुई दोपहर में
ये ज़ुल्फ़ों के साये घनेरे घनेरे
अजब धूप छाँव का आलम है तारी
महकता उजाला चमकते अंधेरे
ज़मीं की फ़ज़ा हो गई आसमानी
लबों की ये कलियाँ खिली अध-खिली सी
ये मख़नूर आँखें गुलाबी गुलाबी
बदन का ये कुन्दन सुनहरा सुनहरा
ये कद है कि छूटी हुई माहताबी
हमेशा सलामत रहे ये जवानी
navāziśh karam śhukriyā meharbānī
mujhe bakhśh dī āpne ziṅdgānī
javānī kī jaltī huī dopahar meṅ
ye zulfoṅ ke sāye ghanere ghanere
ajab dhūp chhāṇv kā ālam hai tārī
mahaktā ujālā chamakte aṅdhere
zamīṅ kī fazā ho gaī āsmānī
laboṅ kī ye kaliyāṇ khilī adh-khilī sī
ye makhnūr āṇkheṅ gulābī gulābī
badan kā ye kundan sunahrā sunahrā
ye kad hai ki chhūṭī huī māhtābī
hameśhā salāmat rahe ye javānī