Naseeb hogaa meraa meharbaan kabhee na kabhee

नसीब होगा मेरा मेहरबाँ कभी न कभी
Year
Language

हो …

नसीब होगा मेरा मेहरबाँ कभी न कभी
हाय, कभी न कभी
मिलेगा उसके क़दम का निशाँ कभी न कभी
हाय कभी न कभी, नसीब …

रहा जो छुपके जवाँ दिल में आरज़ू की तरह
चला गया जो ग़रीबों की आबरू की तरह
नज़र तो आयेगा वो मेहमाँ कभी न कभी
नसीब होगा मेरा मेहरबाँ …

हर इक सितम का वफ़ाएँ जवाब माँगेंगी
हर एक बूँद का आँखें हिसाब माँगेंगी
लहू पुकारेगा बनके ज़ुबाँ कभी न कभी
नसीब होगा मेरा मेहरबाँ …

लुटी-लुटी सी तमन्ना जो हाथ उठायेगी
चमकते चाँद सितारों को तोड़ लायेगी
गले मिलेंगे ज़मीं आसमान कभी न कभी
नसीब होगा मेरा मेहरबाँ …

ho …

nasīb hogā merā meharbāṇ kabhī na kabhī
hāy, kabhī na kabhī
milegā uske qadam kā niśhāṇ kabhī na kabhī
hāy kabhī na kabhī, nasīb …

rahā jo chhupke javāṇ dil meṅ ārazū kī tarah
chalā gayā jo ġharīboṅ kī ābrū kī tarah
nazar to āyegā vo mehmāṇ kabhī na kabhī
nasīb hogā merā meharbāṇ …

har ik sitam kā vafāeṇ javāb māṇgeṅgī
har ek būṇd kā āṇkheṅ hisāb māṇgeṅgī
lahū pukāregā banke zubāṇ kabhī na kabhī
nasīb hogā merā meharbāṇ …

luṭī-luṭī sī tamannā jo hāth uṭhāyegī
chamakte chāṇd sitāroṅ ko toṛ lāyegī
gale mileṅge zamīṅ āsmān kabhī na kabhī
nasīb hogā merā meharbāṇ …