Nain hain yaa ke jaam saaqee ke

नैन हैं या के जाम साक़ी के
Year
Language

नैन हैं या के जाम साक़ी के
हो गये हम ग़ुलाम साक़ी के

जान-ओ-दिल अब कहाँ रहे अपने
कर दिये हमने नाम साक़ी के

मय ही मय चल रही थी हर जानिब
हम गये घर जो शाम साक़ी के

आज वाइज़ को झूमते देखा
हो न हो हैं ये काम साक़ी के

हो गये हम असीर-ए-मयख़ाना
आ गये ज़ेर-ए-दाम साक़ी के

nain haiṅ yā ke jām sāqī ke
ho gaye ham ġhulām sāqī ke

jān-o-dil ab kahāṇ rahe apne
kar diye hamne nām sāqī ke

may hī may chal rahī thī har jānib
ham gaye ghar jo śhām sāqī ke

āj vāiz ko jhūmte dekhā
ho na ho haiṅ ye kām sāqī ke

ho gaye ham asīr-e-mayakhānā
ā gaye zer-e-dām sāqī ke