Naavak-e-naaz se mushkil hai bachaanaa dil kaa

नावक-ए-नाज़ से मुश्किल है बचाना दिल का
Year
Language

नावक-ए-नाज़ से मुश्किल है बचाना दिल का
दर्द उठ उठ के बताता है ठिकाना दिल का

हाय वो पहली मुलाकात में मेरा रुकना
और उसका वो लगावत से बढ़ाना दिल का

जी लगे आपका ऐसा के कभी जी न भरे
दिल लगा कर जो सुनें आप फ़साना दिल का

तीर पर तीर लगा कर वो कहा करते हैं
क्‌यूँ जी तुम खेल समझते थे लगाना दिल का

nāvak-e-nāz se muśhkil hai bachānā dil kā
dard uṭh uṭh ke batātā hai ṭhikānā dil kā

hāy vo pahlī mulākāt meṅ merā ruknā
aur uskā vo lagāvat se baṛhānā dil kā

jī lage āpkā aisā ke kabhī jī na bhare
dil lagā kar jo suneṅ āp fasānā dil kā

tīr par tīr lagā kar vo kahā karte haiṅ
k‌yūṇ jī tum khel samajhte the lagānā dil kā