chiṭṭhī āī hai āī hai chiṭṭhī āī hai -2
chiṭṭhī hai vatan se chiṭṭhī āyī hai
baṛe dinoṅ ke bād, ham bevatnoṅ ko yād -2
vatan kī miṭṭī āī hai, chiṭṭhī āī hai …
ūpar merā nām likhā haiṅ, aṅdar ye paigām likhā haiṅ -2
o pardes ko jāne vāle, lauṭ ke phir nā āne vāle
sāt samuṅdar pār gayā tū, hamko ziṅdā mār gayā tū
khūn ke riśhte toṛ gayā tū, āṇkh meṅ āṇsū chhoṛ gayā tū
kam khāte haiṅ kam sote haiṅ, bahut zyādā ham rote haiṅ, chiṭṭhī …
sūnī ho gaīṅ śhahar kī galiyāṇ, kāṅṭe ban gaīṅ bāg kī kaliyāṇ -2
kahte haiṅ sāvan ke jhūle, bhūl gayā tū ham nahīṅ bhūle
tere bin jab āī dīvālī, dīp nahīṅ dil jale haiṅ khālī
tere bin jab āī holī, pichkārī se chhūṭī golī
pīpal sūnā panghaṭ sūnā ghar śhamśhān kā banā namūnā -2
fasal kaṭī āī baisākhī, terā ānā rah gayā bākī, chiṭṭhī …
pahle jab tū khat likhtā thā kāgaz meṅ chehrā dikhtā thā -2
baṅd huā ye mel bhī ab to, khatam huā ye khel bhī ab to
ḍolī meṅ jab baiṭhī bahnā, rastā dekh rahe the nainā -2
maiṅ to bāp hūṇ merā kyā hai, terī māṇ kā hāl burā hai
terī bīvī kartī hai sevā, sūrat se lagtī haiṅ bevā
tūne paisā bahut kamāyā, is paise ne deśh chhuṛāyā
paṅchhī piṅjrā toṛ ke ājā, deśh parāyā chhoṛ ke ājā
ājā umar bahut hai chhoṭī, apne ghar meṅ bhī haiṅ roṭī, chiṭṭhī …