chiṭhṭhī āyī hai āyī hai, chiṭhṭhī āyī hai
chiṭhṭhī āyī hai, vatan se chiṭhṭhī āyī hai
baṛe dinoṅ ke bāt, ham be-vatnoṅ ko yād
vatan kī miṭṭī āyī hai
upar merā nām likhā hai, aṅdar ye paigām likhā hai
o pardes ko jānevāle, lauṭ ke phir nā ānevāle
sāt samuṅdar pār gayā tū, ham ko ziṅdā mār gayā tū
khūn ke riśhte toṛ gayā tū, āṇkh meṅ āṇsū chhoṛ gayā tū
kam khāte haiṅ, kam sote haiṅ, bahot zyādā ham rote haiṅ
chiṭhṭhī āyī hai
sunī ho gayī śhahar kī galiyāṇ, kāṇṭe ban gayī bāg kī kaliyāṇ
kahte haiṅ sāvan ke jhūle, bhūl gayā tū ham nahīṅ bhūle
tere bin jab āyī dīvālī, dīp nahīṅ dil jale hai khālī
tere bin jab āyī holī, pichkārī se chhuṭī golī
pīpal sunā, panghaṭ sunā, ghar śhamśhān kā banā namūnā
phasal kaṭī, āyī baisākhī, terā ānā rah gayā bākī
chiṭhṭhī āyī hai
pahle jab tū khat likhtā thā, kāgaj meṅ chehrā dikhtā thā
baṅd huā ye mel bhī ab to, khatm huā ye khel bhī ab to
ḍolī meṅ jab baiṭhī bahnā, rāstā dekh rahe the nainā
maiṅ to bāp hūṇ merā kyā hai, terī māṇ kā hāl burā hai
terī bīvī kartī hai sevā, sūrat se lagtī hai bevā
tū ne paisā bahot kamāyā, is paise ne des chhuṛāyā
des parāyā chhoṛ ke ājā, paṅchhī piṅjrā toṛ ke ājā
ājā umr bahot hai chhoṭī, apne ghar meṅ bhī hai roṭī
chiṭhṭhī āyī hai