न रो तू यहाँ ऐसे ... ऐ मेरे दिल यहाँ तू अकेला नहीं
न रो तू यहाँ ऐसे पगला कहीं का
मुसीबत को अपने गले से लगा ले
तेरे ग़म की दुनिया तुझे दे गए हैं
यहाँ से वहाँ रूठ कर जाने वाले
ऐ मेरे दिल यहाँ तू अकेला नहीं
और भी हैं बहुत ग़म के मारे हुए -2
ऐ मेरे दिल यहाँ …
हर क़दम पर यहाँ हर मोड़ पर
ग़म की इक दास्ताँ ( कह रही हर नज़र ) -2
कितनी बेचैनियाँ रह के ख़ामोश भी
दे रही हैं सदा बिन पुकारे हुए
ऐ मेरे दिल यहाँ …
प्यार जिसने किया उसको पागल कहा
अपनी दुनिया में ये ( ज़ुल्म होता रहा ) -2
सैकड़ों बार ये खेल खेला गया
सैकड़ों बार ऐसे नज़ारे हुए
ऐ मेरे दिल यहाँ …
ऐसे इन्सान भी मैने देखे कई
मौत जिनके लिए ज़िन्दगी बन गई
जिनकी आहों से है ( गूँजती ये फ़िज़ा ) -2
जिनके आँसू गगन के सितारे हुए
ऐ मेरे दिल यहाँ …
na ro tū yahāṇ aise paglā kahīṅ kā
musībat ko apne gale se lagā le
tere ġham kī duniyā tujhe de gae haiṅ
yahāṇ se vahāṇ rūṭh kar jāne vāle
ai mere dil yahāṇ tū akelā nahīṅ
aur bhī haiṅ bahut ġham ke māre hue -2
ai mere dil yahāṇ …
har qadam par yahāṇ har moṛ par
ġham kī ik dāstāṇ ( kah rahī har nazar ) -2
kitnī bechainiyāṇ rah ke khāmośh bhī
de rahī haiṅ sadā bin pukāre hue
ai mere dil yahāṇ …
pyār jisne kiyā usko pāgal kahā
apnī duniyā meṅ ye ( zulm hotā rahā ) -2
saikaṛoṅ bār ye khel khelā gayā
saikaṛoṅ bār aise nazāre hue
ai mere dil yahāṇ …
aise insān bhī maine dekhe kaī
maut jinke lie zindgī ban gaī
jinkī āhoṅ se hai ( gūṇjtī ye fizā ) -2
jinke āṇsū gagan ke sitāre hue
ai mere dil yahāṇ …