Na jaane kab vo palat aayen dar khulaa rakhnaa

न जाने कब वो पलट आयें दर खुला रखना
Year
Language

न जाने कब वो पलट आयें दर खुला रखना
गये हुवों के लिये दिल में कुछ जगह रखना

हज़ार तल्ख़ हों यादें मगर वो जब भी मिलें
ज़ुबाँ पे अच्छे दिनों का ही ज़ायका रखना

न हो के कुर्ब ही फिर मर्ग-ए-रब्त बन जाये
मिले अगर तो ज़रा उससे फ़ासला रखना

उतार फैंक दे ख़ुश-फ़हमियों के सारे गिलाफ़
जो शख़्स भूल गया उसको याद क्‌या रखना

na jāne kab vo palaṭ āyeṅ dar khulā rakhnā
gaye huvoṅ ke liye dil meṅ kuchh jagah rakhnā

hazār talkh hoṅ yādeṅ magar vo jab bhī mileṅ
zubāṇ pe achchhe dinoṅ kā hī zāykā rakhnā

na ho ke kurb hī phir marg-e-rabt ban jāye
mile agar to zarā usse fāslā rakhnā

utār phaiṅk de khuśh-fahmiyoṅ ke sāre gilāf
jo śhakhs bhūl gayā usko yād k‌yā rakhnā