ek nazar bas ek nazar jān-e-tamannā dekh idhar
ek nazar bas ek nazar
kuchh to batā ai jān-e-vafā terī adā śharmātī hai kyoṅ
kuchh to batā ai jān-e-vafā
kuchh to batā ai jān-e-vafā terī adā śharmātī hai kyoṅ
hṇske lipaṭtī thī jo gale se ab vo nazar katrātī hai kyoṅ
pahle lagānā,
pahle lagānā phir tarsānā ṭhīk nahīṅ mere dilbar
ek nazar ek nazar
ham bhī haiṅ tere dīvāne dil bhī hai terā dīvānā
ham bhī haiṅ tere dīvāne
ham bhī haiṅ tere dīvāne dil bhī hai terā dīvānā
rūh ke soye tār jagāke chheṛ de aisā afsānā
donoṅ jahāṇ se,
donoṅ jahāṇ se ham kho jāeṅ kuch bhī rahe nā apnī khabar
ek nazar ek nazar
ek nazar bas ek nazar jān-e-tamann dekh idhar
ek nazar ek nazar