Mujhse qaafir ko tere ishq ne yoon sharmaayaa

मुझसे क़ाफ़िर को तेरे इश्क़ ने यूँ शरमाया
Year
Language

मुझसे क़ाफ़िर को तेरे इश्क़ ने यूँ शरमाया
दिल तुझे देख के धड़का तो ख़ुदा याद आया

चारागर आज सितारों की क़सम खा के बता
किसने इन्साँ को तबसूम के लिये तरसाया

नज़्र करता रहा मैं फूल से जज़्बात उसे
जिसने पत्थर के खिलौनों से मुझे बहलाया

उसके अन्दर कोई फ़नकार छुपा बैठा है
जानते बूझते जिस शख़्स ने धोखा खाया

mujhse qāfir ko tere iśhq ne yūṇ śharmāyā
dil tujhe dekh ke dhaṛkā to khudā yād āyā

chārāgar āj sitāroṅ kī qasam khā ke batā
kisne insāṇ ko tabsūm ke liye tarsāyā

nazar kartā rahā maiṅ phūl se jazbāt use
jisne patthar ke khilaunoṅ se mujhe bahlāyā

uske andar koī fankār chhupā baiṭhā hai
jānte būjhte jis śhakhs ne dhokhā khāyā