Mujhse bhalaa ye kaajal teraa nain base din-rain

मुझसे भला ये काजल तेरा नैन बसे दिन-रैन्
Work
Year
Language

र: मुझसे भला ये काजल तेरा नैन बसे दिन-रैन
नी सोणिये -2
ल: हो छोड़ बेदर्दी आँचल मेरा हो गई मैं बेचैन
रे सोणेया -2

र: नाम की तू है मेरी सजनिया नाम का हूँ मैं तेरा पिया ओ
रेशमी लट से खेले ये गजरा दूर से तरसे मेरा जिया
ना ना
ल: हाँ हाँ
र: तौबा
ल: तौबा कैसी
नाम है प्रेमी पागल तेरा तो संग लागे नैन
रे सोणेया -2

प्रेम गली में होगा न बलमा तुझसा दीवाना और कोई ओ
चैन उड़ाना नींद चुराना सीखे तुझसे चोर कोई
ना ना
र: हाँ हाँ गोरी
ल: क्‌या है सैंया
र: हूँ मैं तो घायल तेरा तड़पूँ सारी रैन
नी सोणिये -2
ल: छोड़ बेदर्दी आँचल …

र: चाहे पवन हो चाहे किरण हो छूने न दूँगा तेरा बदन
ल: जलता है मन तो मन में छुपा के रख ले मुझे तू मेरे सजन
ना ना
र: हाँ हाँ रानी
ल: क्‌या है राजा
र: हाँ रूप बरसता बादल तेरा प्यासे हैं नैन
नी सोणिये -2

ra: mujhse bhalā ye kājal terā nain base din-rain
nī soṇiye -2
la: ho chhoṛ bedardī āṇchal merā ho gaī maiṅ bechain
re soṇeyā -2

ra: nām kī tū hai merī sajniyā nām kā hūṇ maiṅ terā piyā o
reśhmī laṭ se khele ye gajrā dūr se tarse merā jiyā
nā nā
la: hāṇ hāṇ
ra: taubā
la: taubā kaisī
nām hai premī pāgal terā to saṅg lāge nain
re soṇeyā -2

prem galī meṅ hogā na balmā tujhsā dīvānā aur koī o
chain uṛānā nīṅd churānā sīkhe tujhse chor koī
nā nā
ra: hāṇ hāṇ gorī
la: k‌yā hai saiṅyā
ra: hūṇ maiṅ to ghāyal terā taṛpūṇ sārī rain
nī soṇiye -2
la: chhoṛ bedardī āṇchal …

ra: chāhe pavan ho chāhe kiraṇ ho chhūne na dūṇgā terā badan
la: jaltā hai man to man meṅ chhupā ke rakh le mujhe tū mere sajan
nā nā
ra: hāṇ hāṇ rānī
la: k‌yā hai rājā
ra: hāṇ rūp barastā bādal terā pyāse haiṅ nain
nī soṇiye -2