o jān-e-man jān-e-jānā ḍhūṇḍhe tujhe dil dīvānā
chāhat kī bechainiyoṅ ko muśhkil hai dil meṅ chhupānā
itne din chupchāp rahā ab aur nahīṅ chup rahnā hai
mujhe kuchh kahnā hai
mausam badaltā rahā ye dil machaltā rahā
tere khayāloṅ meṅ maiṅ din rāt jaltā rahā
dard-e-judāī kā gam mujh ko aur nahīṅ ab sahnā hai
mujhe kuchh kahnā hai
had se guzar jāūṇ nā pal meṅ ṭhahar jāūṇ nā
yūṇ hī taṛapte hue bin tere mar jāūṇ nā
de ke lahū apne is dil kā terī ragoṅ meṅ bahnā hai
mujhe kuchh kahnā hai
guṇchā hai gul hai mausam-e-bahār hai
sab ā chuke haiṅ terā intazār hai
ā jā ā jā ā jā
mujhe kuchh kahnā hai
lā lā lā
merī āṇkhoṅ meṅ dilbar terā chehrā chhupā hai
maine in dhaṛaknoṅ pe nām terā likhā hai
ḍhūṇḍhtā hūṇ bahāne tū kahīṅ to mile
jān-e-man āśhiqī ke hoṅ śhurū silsile
ā jā ā jā ā jā
hūṇ hūṇ mujhe kuchh kahnā hai
mujhe kuchh kahnā hai
apnī dīvāngī ko maiṅ chhupātā rahā
dard-e-dil ko hameśhā maiṅ dabātā rahā
chain lene nā detī bekrārī merī
hośh meṅ rahne nā de ab khumārī terī
ā jā ā jā ā jā
mujhe kuchh kahnā hai