Mujhe dekh ek azaab men, kabhee khaab men

मुझे देख एक अज़ाब में, कभी ख़ाब में
Year
Language

मुझे देख एक अज़ाब में, कभी ख़ाब में
कभी आतिश-ए-सर-ए-ख़ाब में, कभी ख़ाब में

कोई नक़्ल झूमता है निगाह के रू-ब-रू
कभी इंतज़ार-ए-सहाब में, कभी ख़ाब में

कभी बाद-ओ-आतिश-ए-तेज़ में है मेरी नमूँ
कभी ख़ाक में, कभी आब में, कभी ख़ाब में

कभी अपनी तर्ज़ बदल बदल के भी मिल हमें
कभी आश्नाई के बाब में, कभी ख़ाब में

हमें फिर से ताज़ा हक़ीक़तों का सुराग़ दे
कभी पर्दा आये हिजाब में, कभी ख़ाब में

mujhe dekh ek azāb meṅ, kabhī khāb meṅ
kabhī ātiśh-e-sar-e-khāb meṅ, kabhī khāb meṅ

koī naql jhūmtā hai nigāh ke rū-ba-rū
kabhī iṅtazār-e-sahāb meṅ, kabhī khāb meṅ

kabhī bād-o-ātiśh-e-tez meṅ hai merī namūṇ
kabhī khāk meṅ, kabhī āb meṅ, kabhī khāb meṅ

kabhī apnī tarz badal badal ke bhī mil hameṅ
kabhī āśhnāī ke bāb meṅ, kabhī khāb meṅ

hameṅ phir se tāzā haqīqtoṅ kā surāġh de
kabhī pardā āye hijāb meṅ, kabhī khāb meṅ