Mujhe deke may mere saaqiyaa, meree tashngee ko

मुझे देके मय मेरे साक़िया, मेरी तश्नगी को
Year
Language

मुझे देके मय मेरे साक़िया, मेरी तश्नगी को हवा न दे
मेरी प्यास पर भी तो कर नज़र, मुझे मैकशी की सज़ा न दे

मेरा साथ ऐ मेरे हमसफ़र, नहीं चाहता है तो जाम दे
मगर इस तरह सर-ए-राह-ए-गुज़र, मुझे हर क़दम पे सदा न दे

मेरा ग़म न कर, मेरे चारागर, तेरी चाराजोई बज्जा मगर (???)
मेरा दर्द है मेरी ज़िंदगी, मुझे दर्द-ए-दिल की दवा न दे

मैं वहाँ हूँ अब मेरा नासेहा, कि जहाँ ख़ुशी का गुज़र नहीं
मेरा ग़म हदों से गुज़र गया, मुझे अब ख़ुशी की दुआ न दे

वोह गिराएं शौक़ से बिजलियाँ, यह सितम करम हैं सतम नहीं
के वोह 'तर्ज़्' बर्क़-ए-जफ़ा नहीं, जो चमक के नूर-ए-वफ़ा न दे

mujhe deke may mere sāqiyā, merī taśhngī ko havā na de
merī pyās par bhī to kar nazar, mujhe maikśhī kī sazā na de

merā sāth ai mere hamasafar, nahīṅ chāhtā hai to jām de
magar is tarah sar-e-rāh-e-guzar, mujhe har qadam pe sadā na de

merā ġham na kar, mere chārāgar, terī chārājoī bajjā magar (???)
merā dard hai merī ziṅdgī, mujhe dard-e-dil kī davā na de

maiṅ vahāṇ hūṇ ab merā nāsehā, ki jahāṇ khuśhī kā guzar nahīṅ
merā ġham hadoṅ se guzar gayā, mujhe ab khuśhī kī duā na de

voh girāeṅ śhauq se bijliyāṇ, yah sitam karam haiṅ satam nahīṅ
ke voh 'tarz' barq-e-jafā nahīṅ, jo chamak ke nūr-e-vafā na de