Is mor se jaate hain kuchh sust kadam raste

इस मोड़ से जाते हैं कुछ सुस्त कदम रस्ते
Year
Language

कुछ सुस्त कदम रस्ते

इस मोड़ से जाते हैं
कुछ सुस्त कदम रस्ते
कुछ तेज़ कदम राहें
इस मोड़ से जाते हैं

सहरा की तरफ़ जा कर
इक राह बग़ोलों में
खो जाती है चकरा कर
इक राह उधड़ती सी
छिलती हुई काँटों से
जंगल से गुज़रती है
इक दौड़ के जाती है
और कूद के गिरती है
अनजान ख़लाओं में
इस मोड़ से जाते हैं

उस मोड़ पे बैठा हूँ
जिस मोड़ से जाती है
हर एक तरफ़ राहें
इक रोज़ तो यूँ होगा
इस मोड़ पे आ कर तुम
रुक जाओगी कह दोगी
वो कौन सा रस्ता है
जिस राह पे जाना है -2
वो कौन सा रस्ता है
जिस राह पे जाना है -2
वो कौन सा रस्ता है

kuchh sust kadam raste

is moṛ se jāte haiṅ
kuchh sust kadam raste
kuchh tez kadam rāheṅ
is moṛ se jāte haiṅ

sahrā kī taraf jā kar
ik rāh baġholoṅ meṅ
kho jātī hai chakrā kar
ik rāh udhaṛtī sī
chhiltī huī kāṇṭoṅ se
jaṅgal se guzartī hai
ik dauṛ ke jātī hai
aur kūd ke girtī hai
anjān khalāoṅ meṅ
is moṛ se jāte haiṅ

us moṛ pe baiṭhā hūṇ
jis moṛ se jātī hai
har ek taraf rāheṅ
ik roz to yūṇ hogā
is moṛ pe ā kar tum
ruk jāogī kah dogī
vo kaun sā rastā hai
jis rāh pe jānā hai -2
vo kaun sā rastā hai
jis rāh pe jānā hai -2
vo kaun sā rastā hai