मेरी ज़िंदगी किसी और की मेरे नाम का कोई और है
मेरी ज़िंदगी किसी और की, मेरे नाम का कोई और है
मेरा अक्स है सर-ए-आईना, पस-ए-आईना कोई और है
मेरी धड़कनों में है चाप सी, ये जुदाई भी है मिलाप सी
मुझे क्या पता, मेरे दिल बता, मेरे साथ क्या कोई और है
न गए दिनों को खबर मेरी, न शरीक-ए-हाल नज़र तेरी
तेरे देस में, मेरे भेस में, कोई और था कोई और है
वो मेरी तरफ़ निगराँ रहे, मेरा ध्यान जाने कहाँ रहे
मेरी आँख में कई सूरतें, मुझे चाहता कोई और है
merī ziṅdgī kisī aur kī, mere nām kā koī aur hai
merā aksa hai sar-e-āīnā, pas-e-āīnā koī aur hai
merī dhaṛaknoṅ meṅ hai chāp sī, ye judāī bhī hai milāp sī
mujhe kyā patā, mere dil batā, mere sāth kyā koī aur hai
na gae dinoṅ ko khabar merī, na śharīk-e-hāl nazar terī
tere des meṅ, mere bhes meṅ, koī aur thā koī aur hai
vo merī taraf nigrāṇ rahe, merā dhyān jāne kahāṇ rahe
merī āṇkh meṅ kaī sūrteṅ, mujhe chāhtā koī aur hai