मेरी नज़र से न हो दूर एक पल के लिये
प्रेलुदे
कल तक तो आश्ना थे मगर आज ग़ैर हो
दो दिन में ये मिज़ाज हैं आगे की ख़ैर हो
मेरी नज़र से न हो दूर एक पल के लिये
तेरा वुजूद है लाज़िम मेरी ग़ज़ल के लिये
कहाँ से ढूँढ के लाऊँ चराग़ से वो बदन
तरस गई हैं निगाहें कँवल कँवल के लिये
एक ऐसा तजुर्बा मुझको हुआ है आज की रात
बचा के धड़कनें रख ली हैं मैंने कल के लिये
सदा जिये ये मेरा शहर-ए-बेमिसाल जहाँ
हज़ार झोपड़े गिरते हैं इक महल के लिये
'क़तील्' ज़ख़्म सहूँ और मुस्कुराता रहूँ
बने हैं दायरे क्या क्या मेरे अमल के लिये
किसी किसी के नसीबों में इश्क़ लिक्खा है
हर एक दिमाग़ भला कब है इस ख़लल के लिये
हुई न जुर्रअत-ए-गुफ़्तार तो सबब ये था
मिले न लफ़्ज़ तेरे हुस्न के बदल के लिये
prelude
kal tak to āśhnā the magar āj ġhair ho
do din meṅ ye mizāj haiṅ āge kī khair ho
merī nazar se na ho dūr ek pal ke liye
terā vujūd hai lāzim merī ġhazal ke liye
kahāṇ se ḍhūṇḍh ke lāūṇ charāġh se vo badan
taras gaī haiṅ nigāheṅ kṇval kṇval ke liye
ek aisā tajurbā mujhko huā hai āj kī rāt
bachā ke dhaṛakneṅ rakh lī haiṅ maiṅne kal ke liye
sadā jiye ye merā śhahar-e-bemisāl jahāṇ
hazār jhopaṛe girte haiṅ ik mahal ke liye
'qatīl' zakhm sahūṇ aur muskurātā rahūṇ
bane haiṅ dāyre kyā kyā mere amal ke liye
kisī kisī ke nasīboṅ meṅ iśhq likkhā hai
har ek dimāġh bhalā kab hai is khalal ke liye
huī na jurraat-e-guftār to sabab ye thā
mile na lafz tere husn ke badal ke liye