Meree jaan main tujhpe fidaa

मेरी जाँ मैं तुझपे फ़िदा
Year
Language

मेरी जाँ मैं तुझपे फ़िदा
दे सज़ा चाहे जितनी मुझे
आने लगा जीने का मज़ा
जान-ए-जाँ मिला तू जो मुझे

बस एक तेरी ये अदा
जान-ए-मन तुझे क्‌या पता
हर रतिया दिल ले लिया
ले के मेरा दिल, दीवाना किया
हाय ग़ज़ब हो गया

मीठा मीठा दर्द जवाँ
ले चला है मुझको कहाँ
चली रे चली प्यार की हवा
किसने मुझे दी है सदा
कैसा अजब हो गया

merī jāṇ maiṅ tujhpe fidā
de sazā chāhe jitnī mujhe
āne lagā jīne kā mazā
jān-e-jāṇ milā tū jo mujhe

bas ek terī ye adā
jān-e-man tujhe k‌yā patā
har ratiyā dil le liyā
le ke merā dil, dīvānā kiyā
hāy ġhazab ho gayā

mīṭhā mīṭhā dard javāṇ
le chalā hai mujhko kahāṇ
chalī re chalī pyār kī havā
kisne mujhe dī hai sadā
kaisā ajab ho gayā