Meree duniyaa men tum aaee, kyaa kyaa apne saath liye

मेरी दुनिया में तुम आई, क्या क्या अपने साथ लिये
Year
Language

मेरी नजर ने हुस्न का जादू जगा दिया
तुझ को सजा के और भी कातिल बना दिया
शरमाती है क्यों आज मेरी बाहों में आ के
ले जाऊँगा एक दिन तुझे डोली में बिठा के

डोली से मैं जब उतरूंगी हैरान ना होना
मर जाऊँ ख़ुशी से तो परेशान न होना

दूरी कभी पल भर को गवारा ना करेंगे
गर जी ना सके साथ तो हम साथ मरेंगे

मेरी दुनिया में तुम आई, क्या क्या अपने साथ लिए
तन की चाँदी, मन का सोना, सपनोंवाली रात लिए

तनहा तनहा, खोया खोया, दिल में दिल की बात लिए
कब से यूँ ही फिरता था मैं अरमां की बारात लिए

ढलका आँचल, फैला काजल, आँखों में ये रात लिए
कैसे जाऊँ सखियों में अब तेरी ये सौगात लिए

सीने की ये धड़कन सुन ले न कोई
हाए हाए हाए देखे ना कोई
ना जाओ, ना जाओ
हटो, हटो, डर लगता है
सुनो, सुनो,
डर लगता है
दिल में कितनी कलियाँ महकी, कैसे कैसे फूल खिले
नाजूक नाजूक, मीठे मीठे, होठों की खैरात लिए

चाँद से कैसे आँखे मिलाऊँ
बाहों में आओ तुमको बताऊँ
बस भी करो, अब ना डरो, रात है ये अपनी

पायल छनके, कंगना खनके, बदली जाए चाल मेरी
मंजिल मंजिल चलना होगा, हाथों में अब हाथ लिए

merī najar ne husn kā jādū jagā diyā
tujh ko sajā ke aur bhī kātil banā diyā
śharmātī hai kyoṅ āj merī bāhoṅ meṅ ā ke
le jāūṇgā ek din tujhe ḍolī meṅ biṭhā ke

ḍolī se maiṅ jab utrūṅgī hairān nā honā
mar jāūṇ khuśhī se to pareśhān na honā

dūrī kabhī pal bhar ko gavārā nā kareṅge
gar jī nā sake sāth to ham sāth mareṅge

merī duniyā meṅ tum āī, kyā kyā apne sāth lie
tan kī chāṇdī, man kā sonā, sapnoṅvālī rāt lie

tanhā tanhā, khoyā khoyā, dil meṅ dil kī bāt lie
kab se yūṇ hī phirtā thā maiṅ armāṅ kī bārāt lie

ḍhalkā āṇchal, phailā kājal, āṇkhoṅ meṅ ye rāt lie
kaise jāūṇ sakhiyoṅ meṅ ab terī ye saugāt lie

sīne kī ye dhaṛkan sun le na koī
hāe hāe hāe dekhe nā koī
nā jāo, nā jāo
haṭo, haṭo, ḍar lagtā hai
suno, suno,
ḍar lagtā hai
dil meṅ kitnī kaliyāṇ mahkī, kaise kaise phūl khile
nājūk nājūk, mīṭhe mīṭhe, hoṭhoṅ kī khairāt lie

chāṇd se kaise āṇkhe milāūṇ
bāhoṅ meṅ āo tumko batāūṇ
bas bhī karo, ab nā ḍaro, rāt hai ye apnī

pāyal chhanke, kaṅgnā khanke, badlī jāe chāl merī
maṅjil maṅjil chalnā hogā, hāthoṅ meṅ ab hāth lie