Mere mahboob tere dam se hai duniyaa men bahaar

मेरे महबूब तेरे दम से है दुनिया में बहार्
Work
Year
Language

मेरे महबूब तेरे दम से है दुनिया में बहार
वरना इस ग़म से भरी दुनिया में क्‌या रखा है -2
मेरे महबूब तेरे …

तेरी आँखों में नज़र आई है जन्नत मुझको
मेरी जन्नत तेरी आँखों के सिवा कोई नहीं
मेरे महबूब तेरे …

मैं तसव्वुर में तेरे झूम लिया करता हूँ
मेरी दौलत तेरी चाहत के सिवा कोई नहीं
मेरे महबूब तेरे …

ज़िन्दगानी में कई रंग के मोड़ आते हैं
तू सलामत रहे शायर की दुआ कहती है
चाँद घटता है घटे हुस्न तेरा बढ़ता ही रहे
मैं रहूँ या न रहूँ मेरी वफ़ा कहती है
मेरे महबूब तेरे …

mere mahbūb tere dam se hai duniyā meṅ bahār
varnā is ġham se bharī duniyā meṅ k‌yā rakhā hai -2
mere mahbūb tere …

terī āṇkhoṅ meṅ nazar āī hai jannat mujhko
merī jannat terī āṇkhoṅ ke sivā koī nahīṅ
mere mahbūb tere …

maiṅ tasavvur meṅ tere jhūm liyā kartā hūṇ
merī daulat terī chāhat ke sivā koī nahīṅ
mere mahbūb tere …

zindgānī meṅ kaī raṅg ke moṛ āte haiṅ
tū salāmat rahe śhāyar kī duā kahtī hai
chāṇd ghaṭtā hai ghaṭe husn terā baṛhtā hī rahe
maiṅ rahūṇ yā na rahūṇ merī vafā kahtī hai
mere mahbūb tere …