मेरे दिल में रहने वाली ... तेरे सिवा ना चाहत है कोई
मेरे दिल में रहने वाली मुझे अपना कहने वाली
धड़कनों का एहसास तू है
हर इक लम्हा मेरे पास तू है
तेरे सिवा ना चाहत है कोई न है कोई अरमां
ओ मेरी जान मेरी जान
हूँ बहुत चाहने लगा हूँ मेरी जां तुझे
हां के अब आज़मा रही है मुहब्बत मुझे
कैसा है ये मेरा दीवानापन
हर तरफ़ है तेरा नज़ारा तुझको पाया तो दिल पुकारा
तेरे सिवा ना चाहत …
लरज़ते लबों से तेरा वो कहना सनम
हो मेरे साथ साथ हर पल तू रहना सनम
तेरे बिन मुझे अब नहीं जीना
किस जनम का ये सिलसिला है
तू मिली तो सब कुछ मिला है
तेरे सिवा ना चाहत …
mere dil meṅ rahne vālī mujhe apnā kahne vālī
dhaṛaknoṅ kā ehsās tū hai
har ik lamhā mere pās tū hai
tere sivā nā chāhat hai koī na hai koī armāṅ
o merī jān merī jān
hūṇ bahut chāhne lagā hūṇ merī jāṅ tujhe
hāṅ ke ab āzmā rahī hai muhabbat mujhe
kaisā hai ye merā dīvānāpan
har taraf hai terā nazārā tujhko pāyā to dil pukārā
tere sivā nā chāhat …
larazte laboṅ se terā vo kahnā sanam
ho mere sāth sāth har pal tū rahnā sanam
tere bin mujhe ab nahīṅ jīnā
kis janam kā ye silsilā hai
tū milī to sab kuchh milā hai
tere sivā nā chāhat …