Meraa pardesee na aayaa

मेरा परदेसी न आया
Year
Language

मेरा परदेसी न आया -2
सबके मन मीत मिले हैं
बाग़ों में फिर से फूल खिले हैं
मेरा मन मुरझाया
मेरा परदेसी न …

सावन बरसा यूँ मन तरसा मैं जी भर के रोई -2
जिसने देखा पागल समझा ये न समझा कोई
मेरा परदेसी न …

याद में किसकी जाने ज़ुल्मी भूल गया बिरहन को -2
राह में जाने किस सौतन ने रोक लिया साजन को
मेरा परदेसी न …

साँझ-सकारे ये कह-कह के छेड़े दुनिया सारी -2
वो आती है वो जाती है इक बिरहा की मारी
मेरा परदेसी न …

merā pardesī na āyā -2
sabke man mīt mile haiṅ
bāġhoṅ meṅ phir se phūl khile haiṅ
merā man murjhāyā
merā pardesī na …

sāvan barsā yūṇ man tarsā maiṅ jī bhar ke roī -2
jisne dekhā pāgal samjhā ye na samjhā koī
merā pardesī na …

yād meṅ kiskī jāne zulmī bhūl gayā birahan ko -2
rāh meṅ jāne kis sautan ne rok liyā sājan ko
merā pardesī na …

sāṇjh-sakāre ye kah-kah ke chheṛe duniyā sārī -2
vo ātī hai vo jātī hai ik birhā kī mārī
merā pardesī na …