मेरा क्या था तेरे हिसाब में मेरा साँस साँस उधार था
मेरा क्या था तेरे हिसाब में मेरा साँस साँस उधार था
जो गुज़र गया वो तो वक़्त था, जो बचा रहा वो ग़ुबार था
तेरी आरज़ू में उड़े तो थे, चन्द ख़ुश्क पत्ते चनार के
जो हवा के दोश से गिर पड़ा, उनमें एक ये ख़ाकसार था
वो उदास उदास इक शाम थी, एक चेहरा था इक चराग़ था
और कुछ नहीं था ज़मीन पर, एक आसमाँ का ग़ुबार था
बड़े सूफ़ियों से ख़याल थे, और बयाँ भी उसका कमाल था
कहा मैंने कब के वही था वो, एक शख़्स था बादा-ख़ार था
merā kyā thā tere hisāb meṅ merā sāṇs sāṇs udhār thā
jo guzar gayā vo to vaqt thā, jo bachā rahā vo ġhubār thā
terī ārazū meṅ uṛe to the, chand khuśhk patte chanār ke
jo havā ke dośh se gir paṛā, unmeṅ ek ye khāksār thā
vo udās udās ik śhām thī, ek chehrā thā ik charāġh thā
aur kuchh nahīṅ thā zamīn par, ek āsmāṇ kā ġhubār thā
baṛe sūfiyoṅ se khayāl the, aur bayāṇ bhī uskā kamāl thā
kahā maiṅne kab ke vahī thā vo, ek śhakhs thā bādā-khār thā