(e bhāī, zarā dekhke chalo, āge hī nahīṅ pīchhe bhī
dāyeṅ hī nahīṅ bāyeṅ bhī, ūpar hī nahīṅ nīche bhī) - 2
e bhāī
tū jahāṇ āyā hai vo terā - ghar nahīṅ, gāṇv nahīṅ
galī nahīṅ, kūchā nahīṅ, rastā nahīṅ, bastī nahīṅ
duniyā hai, aur pyāre, duniyā yah ek sarkas hai
aur is sarkas meṅ - baṛe ko bhī, choṭe ko bhī
khare ko bhī, khoṭe ko bhī, moṭe ko bhī, patle ko bhī
nīche se ūpar ko, ūpar se nīche ko
barābar ānā-jānā paṛtā hai
(aur riṅg māsṭar ke koṛe par - koṛā jo bhūkh hai
koṛā jo paisā hai, koṛā jo qismat hai
tarah-tarah nāch kar dikhānā yahāṇ paṛtā hai
bār-bār ronā aur gānā yahāṇ paṛtā hai
hīro se jokar ban jānā paṛtā hai) - 2
girne se ḍartā hai kyoṅ, marne se ḍartā hai kyoṅ
ṭhokar tū jab na khāegā, pās kisī ġham ko na jab tak bulāegā
ziṅdgī hai chīz kyā nahīṅ jān pāyegā
rotā huā āyā hai chalā jāegā
kaisā hai kariśhmā, kaisā khilvāṛ hai
jānavar ādmī se zyādā vafādār hai
khātā hai koṛā bhī rahtā hai bhūkhā bhī
phir bhī vo mālik par kartā nahīṅ vār hai
aur insāṇ yah - māl jis kā khātā hai
pyār jis se pātā hai, gīt jis ke gātā hai
usī ke hī sīne meṅ bhoktā kaṭār hai
hāṇ bābū, yah sarkas hai śho tīn ghaṅṭe kā
pahlā ghaṅṭā bachapan hai, dūsrā javānī hai
tīsrā buṛhāpā hai
aur uske bād - māṇ nahīṅ, bāp nahīṅ
beṭā nahīṅ, beṭī nahīṅ, tū nahīṅ,
maiṅ nahīṅ, kuchh bhī nahīṅ rahtā hai
rahtā hai jo kuchh vo - khālī-khālī kursiyāṇ haiṅ
khālī-khālī tāmbū hai, khālī-khālī gherā hai
binā chiṛiyā kā baserā hai, na terā hai, na merā hai