मतवालेपने से जो ख़ता झूम पड़ी है
मतवालेपने से जो ख़ता झूम पड़ी है
छाती से धुआँ उठा है जो बूँद पड़ी है
हाँ और सुना कुछ वो बुरा हो कि भला हो
अरे जो बात तेरे मुँह की है, मोती की लड़ी है
रहना नहीं इस देश में, जाऊँ तो किधर जाऊँ
रस्ता है कठिन, ओस कड़े, धूप कड़ी है
वो भी कोई जीना है, दुःखों से जो भरा हो
है साँस कि इक फाँस कलेजे में गड़ी है
हाँ बेधड़क ऐ आरज़ू अब कह दो ख़री बात
रस्सी भी यहीं रखी है, सूली भी खड़ी है
matvālepne se jo khatā jhūm paṛī hai
chhātī se dhuāṇ uṭhā hai jo būṇd paṛī hai
hāṇ aur sunā kuchh vo burā ho ki bhalā ho
are jo bāt tere muṇh kī hai, motī kī laṛī hai
rahnā nahīṅ is deśh meṅ, jāūṇ to kidhar jāūṇ
rastā hai kaṭhin, os kaṛe, dhūp kaṛī hai
vo bhī koī jīnā hai, duḥakhoṅ se jo bharā ho
hai sāṇs ki ik phāṇs kaleje meṅ gaṛī hai
hāṇ bedhaṛak ai ārazū ab kah do kharī bāt
rassī bhī yahīṅ rakhī hai, sūlī bhī khaṛī hai