मस्ती है छाई बसन्ती पवन पर
बिखरा हुआ है सोना गगन पर
बिखरा हुआ है
डूब रहा है किरणवाला
बैठी है इक बृज की बाला
जमना किनारे हाँ जमना किनारे …
हृदय का आँचल पथ पे बिछाए
नैनों में आशा के दीप जलाए
हाथों में ले कर फूलों की माला
बैठी है इक ब्रज की बाला
जमना किनारे हाँ जमना किनारे …
रह रह के इत उत देख रही है
मन ही मन कछु सोच रही है
न जाने है कौन आनेवाला
जमना किनारे हाँ जमना किनारे …
जादू से बड़कर है इसका शृंगार
करेगी ये साजन से जब आँखें चार
होगा समा एक वो भी निराला
बैठी है एक ब्रज कि बाला
जमना किनारे हाँ जमना किनारे …
mastī hai chhāī basantī pavan par
bikhrā huā hai sonā gagan par
bikhrā huā hai
ḍūb rahā hai kiraṇvālā
baiṭhī hai ik bṛj kī bālā
jamnā kināre hāṇ jamnā kināre …
hṛday kā āṇchal path pe bichhāe
nainoṅ meṅ āśhā ke dīp jalāe
hāthoṅ meṅ le kar phūloṅ kī mālā
baiṭhī hai ik braj kī bālā
jamnā kināre hāṇ jamnā kināre …
rah rah ke it ut dekh rahī hai
man hī man kachhu soch rahī hai
na jāne hai kaun ānevālā
jamnā kināre hāṇ jamnā kināre …
jādū se baṛkar hai iskā śhṛṅgār
karegī ye sājan se jab āṇkheṅ chār
hogā samā ek vo bhī nirālā
baiṭhī hai ek braj ki bālā
jamnā kināre hāṇ jamnā kināre …