मस्ताना पिये जा यूँ ही मस्ताना पिये जा
पैमाना तो क्या चीज़ है मयखाना पिये जा
कर ग़र्क़-ए-मय-ओ-जाम ग़म-ए-गर्दिश-ओ-अय्याम
ऐ दिल-ए-नाकाम मयखाना पिये जा
मयनोशी के आदाब से आगाह नहीं तू
जिस तरह कहे साक़ी-ए-मयखाना पिये जा
इस मक़्र की बस्ती में है मस्ती ही से हस्ती
दीवाना बन और बातिल-ए-दीवाना पिये जा
मयखाने के हंगामे हैं कुछ देर के मेहमाँ
है सुबह क़रीब 'अख़्तर्' दीवाना पिये जा
mastānā piye jā yūṇ hī mastānā piye jā
paimānā to kyā chīz hai maykhānā piye jā
kar ġharq-e-may-o-jām ġham-e-gardiśh-o-ayyām
ai dil-e-nākām maykhānā piye jā
maynośhī ke ādāb se āgāh nahīṅ tū
jis tarah kahe sāqī-e-maykhānā piye jā
is maqr kī bastī meṅ hai mastī hī se hastī
dīvānā ban aur bātil-e-dīvānā piye jā
maykhāne ke haṅgāme haiṅ kuchh der ke mehmāṇ
hai subah qarīb 'akhtar' dīvānā piye jā