merā bachapan
merā bachapan vāpas āyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
galbaiyāṇ
galbaiyāṇ ḍār muskāyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
apnā sab kuchh de ke dān maiṅ terī khair manāūṇ
nazar na lāge duniyā kī tujhe palkoṅ meṅ maiṅ chhupāūṇ
merī godī
merī godī meṅ sab jag āyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
tū mere din kā sūraj rāt ko chandā kī ujiyārī -2
harī tere sāre dukh har le rām kare rakhvārī
rām kare rakhvārī
tūne bujhtā dīp jalāyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
merā bachapan vāpas āyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
kis darpan meṅ mukh dekhūṇ maiṅ aur khuśhī se jhūmūṇ
dekhūṇ merā bālkapan maiṅ apnā mukhaṛā chūmūṇ
mujhe mohe āj merī chhāyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho
merā bachapan vāpas āyā
balaiyā lūṇ maiṅ bār-bār ho