liye sapne nigāhoṅ meṅ, chalā hūṇ terī rāhoṅ meṅ
ziṅdgī ā rahā hūṇ maiṅ - 2
kaī yādoṅ ke chehre haiṅ, kaī kisse purāne haiṅ
terī sau dāstāneṅ haiṅ, tere kitne fasāne haiṅ - 2
magar ek vo kahānī hai, jo ab mujhko sunānī hai
zindgī ā rahā hūṇ maiṅ
mere hāthoṅ kī garmī se, pighal jāyeṅgī zaṅjīreṅ
mere kadmoṅ kī āhaṭ se, badal jāyeṅgī taqdīreṅ - 2
ummīdoṅ ke diye lekar, ye sab tere liye lekar
zindgī ā rahā hūṇ maiṅ
kabhī tujhko gilā mujhse, kabhī mujhko śhikāyat hai
magar phir bhī tujhe merī, mujhe terī zarūrat hai - 2
maiṅ ye iqrār kartā hūṇ, maiṅ tujhse pyār kartā hūṇ
zindgī ā rahā hūṇ maiṅ