ma: ūpar gagan viśhāl nīche gahrā pātāl
bīch meṅ dhartī vāh mere mālik tū ne kiyā kamāl
ko: are vāh mere mālik kyā terī līlā
tū ne kiyā kamāl
ma: ūpar gagan viśhāl
ma: ek phūṇk se rach diyā tū ne
sūraj agan kā golā
ek phūṇk se rachā chandrmā
lākhoṅ sitāroṅ kā ṭolā
tū ne rach diyā pavan jhakholā
ye pānī aur ye śholā
ye bādal kā uṛan khaṭolā
jise dekh hamārā man ḍolā
soch soch ham kareṅ achambhā
nazar na ātā ek bhī khambā
phir bhī ye ākāśh khaṛā hai
hue karoṛo sāl mālik
tū ne kiyā kamāl
ūpar gagan viśhāl
ko: ā hā ā hā ā ā ā
ma: tū ne rachā ek adbhut prāṇī
jiskā nām insān - 2
iskī nanhī prāṇ hai lekin
bharā huā tūfān
is jag meṅ insān ke dil ko
kaun sakā pahchān
is meṅ hī śhaitān basā hai
is meṅ hī bhagvān
baṛā ġhazab kā hai ye khilaunā - 2
iskā nahīṅ misāl
mālik tū ne kiyā kamāl …
ūpar gagan viśhāl
ko: ā ā ā ā ā ā