मंज़र समेट लाये हैं जो तेरे गाँव के
मंज़र समेट लाये हैं जो तेरे गाँव के
नींदें उड़ा रहे हैं वो झोंके हवाओं के
तेरी गली से चाँद भी ज़्यादा हँसी नहीं
कहते सुने गये गैं मुसाफ़िर ख़लाओं के
पल भर को तेरी याद में धड़का था दिल मेरा
अब दूर तक भँवर से पड़े हैं सदाओं के
दाद-ए-सफ़र मिली है किसे राह-ए-शौक़ में
हमने मिटा दिये हैं निशाँ अपने पाँवों के
ज़िंदा थे जिनसे सर्द हवाओं में हम 'क़तील्'
अब ज़हर-आब हो गये साये हवाओं के
maṅzar sameṭ lāye haiṅ jo tere gāṇv ke
nīṅdeṅ uṛā rahe haiṅ vo jhoṅke havāoṅ ke
terī galī se chāṇd bhī zyādā hṇsī nahīṅ
kahte sune gaye gaiṅ musāfir khalāoṅ ke
pal bhar ko terī yād meṅ dhaṛkā thā dil merā
ab dūr tak bhṇvar se paṛe haiṅ sadāoṅ ke
dād-e-safar milī hai kise rāh-e-śhauq meṅ
hamne miṭā diye haiṅ niśhāṇ apne pāṇvoṅ ke
ziṅdā the jinse sard havāoṅ meṅ ham 'qatīl'
ab zahar-āb ho gaye sāye havāoṅ ke