Main saaz bajaaoon

मैं साज़ बजाऊँ
Year
Language

मैं साज़ बजाऊँ तुम गाओ तुम गाओ
तारों में मैं तुम्हे सुना दूँ
इस दिल की झंकार
गीतों में तुम मुझसे कह दो
छूपी बात एक बार
मैं तुम को कुछ समझाऊँ
तुम मुझको कुछ समझाओ
मैं साज़ बजाऊँ …

मेरे सुर में दर्द छुपा हो
एक जादू हो गीत तुम्हारा
हम तुम दोनो मिले जहाँ
झूमे वो दरिया का किनारा
मेरी धुन पर मौजें तड़पे
तुम गीत से लहरों को शर्माओ
मैं साज़ बजाऊँ …

maiṅ sāz bajāūṇ tum gāo tum gāo
tāroṅ meṅ maiṅ tumhe sunā dūṇ
is dil kī jhaṅkār
gītoṅ meṅ tum mujhse kah do
chhūpī bāt ek bār
maiṅ tum ko kuchh samjhāūṇ
tum mujhko kuchh samjhāo
maiṅ sāz bajāūṇ …

mere sur meṅ dard chhupā ho
ek jādū ho gīt tumhārā
ham tum dono mile jahāṇ
jhūme vo dariyā kā kinārā
merī dhun par maujeṅ taṛpe
tum gīt se lahroṅ ko śharmāo
maiṅ sāz bajāūṇ …