मैं नज़र से पी रहा हूँ ये समाँ बदल न जाये
न झुकाओ तुम निगाहें कहीं रात ढल न जाये
मेरे अश्क भी हैं इसमें ये शराब उबल न जाये
मेरा जाम छूने वाले तेरा हाथ जल न जाये
अभी रात कुछ है बाकी न उठा नक़ाब साक़ी
तेरा रिंद गिरते गिरते कहीं फिर सम्भल न जाये
मेरी ज़िंदगी के मालिक मेरे दिल पे हाथ रखना
तेरे आने की ख़ुशी में मेरा दम निकल न जाये
मुझे फूँकने से पहले मेरा दिल निकाल लेना
ये किसी की है अमानत कहीं साथ जल न जाये
इसी ख़ौफ़ से नशेमन मैं बना सका न 'अनवर्'
कि निगाह-ए-अहल-ए-गुलशन कहीं फिर बदल न जाये
maiṅ nazar se pī rahā hūṇ ye samāṇ badal na jāye
na jhukāo tum nigāheṅ kahīṅ rāt ḍhal na jāye
mere aśhk bhī haiṅ ismeṅ ye śharāb ubal na jāye
merā jām chhūne vāle terā hāth jal na jāye
abhī rāt kuchh hai bākī na uṭhā naqāb sāqī
terā riṅd girte girte kahīṅ phir sambhal na jāye
merī ziṅdgī ke mālik mere dil pe hāth rakhnā
tere āne kī khuśhī meṅ merā dam nikal na jāye
mujhe phūṇkne se pahle merā dil nikāl lenā
ye kisī kī hai amānat kahīṅ sāth jal na jāye
isī khauf se naśheman maiṅ banā sakā na 'anavar'
ki nigāh-e-ahal-e-gulaśhan kahīṅ phir badal na jāye