Main deevaanaa mastaanaa mushkil bhed meraa paa jaanaa

मैं दीवाना मस्ताना मुश्किल भेद मेरा पा जाना
Year
Language

मैं दीवाना मस्ताना
मुश्किल भेद मेरा पा जाना
मैं दीवाना मस्ताना …

दुनिया मेरी ठोकर में तूफ़ां क़ैद मेरे सागर में
सारा ज़माना मेरा निशाना खेल नहीं मुझसे टकराना
मुश्किल भेद मेरा पा जाना …

चर्चे मेरे पनघट पर रोके राह मचल के दिलबर
मस्त जवानी मेरी दीवानी हुस्न मुझे दिल दे नज़राना
मुश्किल भेद मेरा पा जाना …

दुश्मन झूठे यारों का सच्चा यार वफ़ादारों का
यारों सच्चा यार वफ़ादारों का
तोड़ दे पत्थर जोश में आकर ये दिल का नाज़ुक पैमाना
मुश्किल भेद मेरा पा जाना …

maiṅ dīvānā mastānā
muśhkil bhed merā pā jānā
maiṅ dīvānā mastānā …

duniyā merī ṭhokar meṅ tūfāṅ qaid mere sāgar meṅ
sārā zamānā merā niśhānā khel nahīṅ mujhse ṭakrānā
muśhkil bhed merā pā jānā …

charche mere panghaṭ par roke rāh machal ke dilbar
mast javānī merī dīvānī husn mujhe dil de nazrānā
muśhkil bhed merā pā jānā …

duśhman jhūṭhe yāroṅ kā sachchā yār vafādāroṅ kā
yāroṅ sachchā yār vafādāroṅ kā
toṛ de patthar jośh meṅ ākar ye dil kā nāzuk paimānā
muśhkil bhed merā pā jānā …