Mahkaa-mahkaa roop tumhaaraa bahkee-bahkee chaal

महका-महका रूप तुम्हारा बहकी-बहकी चाल्
Work
Year
Language

महका-महका रूप तुम्हारा बहकी-बहकी चाल
ऐ फूलों की डाल ये राही पूछे एक सवाल
तुम्हारा नाम क्‌या है -2

होंठ ये गुलाबी आँख ये शराबी
बहके न पीके रात को तो रात क्‌या हुई -2
महका-महका रूप …

जो देख ले तो कैसे भूले ना रास्ता
जान लेने वाली ये सादगी तुम्हारी
दो रोज़ और जीने दो ख़ुदा का वास्ता
महका-महका रूप …

बोलती निगाहें ये बोलती अदाएँ
है चाल मस्तानी ये झूमती जवानी
कि देखते ही देखते दिल का क़रार खो गया -2
हो महका-महका रूप …

आँख ना चुराओ ज़रा सा रुक जाओ
दो प्यार भरे बोल तो हुज़ूर बोल दो
तन जल रहा है ये बदन जल रहा है
घटाओं जैसे काले-काले बाल खोल दो -2
हो महका-महका रूप …

mahkā-mahkā rūp tumhārā bahkī-bahkī chāl
ai phūloṅ kī ḍāl ye rāhī pūchhe ek savāl
tumhārā nām k‌yā hai -2

hoṅṭh ye gulābī āṇkh ye śharābī
bahke na pīke rāt ko to rāt k‌yā huī -2
mahkā-mahkā rūp …

jo dekh le to kaise bhūle nā rāstā
jān lene vālī ye sādgī tumhārī
do roz aur jīne do khudā kā vāstā
mahkā-mahkā rūp …

boltī nigāheṅ ye boltī adāeṇ
hai chāl mastānī ye jhūmtī javānī
ki dekhte hī dekhte dil kā qarār kho gayā -2
ho mahkā-mahkā rūp …

āṇkh nā churāo zarā sā ruk jāo
do pyār bhare bol to huzūr bol do
tan jal rahā hai ye badan jal rahā hai
ghaṭāoṅ jaise kāle-kāle bāl khol do -2
ho mahkā-mahkā rūp …