Mahboobaa teree tasveer kis tarah main banaaoon

महबूबा तेरी तस्वीर किस तरह मैं बनाऊँ
Year
Language

महबूबा तेरी तस्वीर किस तरह मैं बनाऊँ -2
तेरी ज़ुल्फ़ों की दास्ताँ किस तरह मैं सुनाऊँ
महबूबा तेरी तस्वीर …

तेरे लिए कहूँ कोई बात तेरे लिए सोचूँ कोई नाम
मैं तो बस दीवाना हो गया नहीं मेरे बस का ये काम
तेरे जैसा कोई कहीं देखा ना सुना है
महबूबा …

धारे मौजें रुत और जाम नग़्में पैमाने बुत और फूल
सब तेरी राहों की ख़ाक़ सब तेरे क़दमों की धूल
तेरे जैसा कोई कहीं देखा ना सुना है
महबूबा …

नज़रों ने देखा है तुझे आता नहीं फिर भी यक़ीन
क्‌योंकि मेरी दुनिया के लोग होते नहीं इतने हसीन
तेरे जैसा कोई कहीं देखा ना सुना है
महबूबा …

mahbūbā terī tasvīr kis tarah maiṅ banāūṇ -2
terī zulfoṅ kī dāstāṇ kis tarah maiṅ sunāūṇ
mahbūbā terī tasvīr …

tere lie kahūṇ koī bāt tere lie sochūṇ koī nām
maiṅ to bas dīvānā ho gayā nahīṅ mere bas kā ye kām
tere jaisā koī kahīṅ dekhā nā sunā hai
mahbūbā …

dhāre maujeṅ rut aur jām naġhmeṅ paimāne but aur phūl
sab terī rāhoṅ kī khāq sab tere qadmoṅ kī dhūl
tere jaisā koī kahīṅ dekhā nā sunā hai
mahbūbā …

nazroṅ ne dekhā hai tujhe ātā nahīṅ phir bhī yaqīn
k‌yoṅki merī duniyā ke log hote nahīṅ itne hasīn
tere jaisā koī kahīṅ dekhā nā sunā hai
mahbūbā …