Mahafil men baar baar kisee par nazar gaee

महफ़िल में बार बार किसी पर नज़र गई
Year
Language

महफ़िल में बार बार किसी पर नज़र गई
हमने बचाई लाख मगर फिर उधर गई

उनकी नज़र में कोई जादू ज़ुरूर है
जिस पर पड़ी उसी के जिगर तक उतर गई

उस बेवफ़ा की आँख से आँसू छलक पड़े
हसरत भरी निगाह बड़ा काम कर गई

उनके जमाल-ए-रुख़ पे उन्हीं का जमाल था
वो चल दिये तो रौनक-ए-शाम-ओ-सहर गई

उनको ख़बर करो के है 'बिस्मिल्' क़रीब-ए-मर्ग़
वो आयेंगे ज़ुरूर जो उन तक ख़बर गई

mahafil meṅ bār bār kisī par nazar gaī
hamne bachāī lākh magar phir udhar gaī

unkī nazar meṅ koī jādū zurūr hai
jis par paṛī usī ke jigar tak utar gaī

us bevafā kī āṇkh se āṇsū chhalak paṛe
hasrat bharī nigāh baṛā kām kar gaī

unke jamāl-e-rukh pe unhīṅ kā jamāl thā
vo chal diye to raunak-e-śhām-o-sahar gaī

unko khabar karo ke hai 'bismil' qarīb-e-marġh
vo āyeṅge zurūr jo un tak khabar gaī