Lutf jo uske intezaar men hain

लुत्फ़ जो उसके इंतेज़ार में हैं
Year
Language

लुत्फ़ जो उसके इंतेज़ार में हैं
वो कहाँ मौसम-ए-बहार में है

हुस्न जितना है गाहे गाहे में
कब मुलाक़ात-ए-बार-बार में है

जान-ओ-दिल से मैं हारता ही रहूँ
गर तेरी जीत मेरी हार में हैं

ज़िंदगी भर की चाहतों का सिला
दिल में पैबस्त नोक-ए-ख़ार में हैं

क्‌या हुआ गर ख़ुशी नहीं बस में
मुस्कुराने तो इख़्तियार में है

lutf jo uske iṅtezār meṅ haiṅ
vo kahāṇ mausam-e-bahār meṅ hai

husn jitnā hai gāhe gāhe meṅ
kab mulāqāt-e-bār-bār meṅ hai

jān-o-dil se maiṅ hārtā hī rahūṇ
gar terī jīt merī hār meṅ haiṅ

ziṅdgī bhar kī chāhtoṅ kā silā
dil meṅ paibast nok-e-khār meṅ haiṅ

k‌yā huā gar khuśhī nahīṅ bas meṅ
muskurāne to ikhtiyār meṅ hai