gup-chup bāteṅ karne lagā tere badan se merā badan
jīne lagā maiṅ marne lagā chhū liyā maiṅne terā badan
pyār kī āg meṅ jalne lagā kyā terā kyā merā badan
chāṇd bhī chhup gayā bādal meṅ ho gayā aur aṅdherā badan
ā maiṅ chhoṛ ke ye duniyā tere dil meṅ samā jāūṇ
dūr chalā jāūṇ sabse tere pās maiṅ ā jāūṇ
ṭukar-ṭukar yūṇ mat dekho maiṅ tumse śharmā jāūṇ
apne dil ki dhaṛkan se terā dil dhaṛkā jāūṇ
khud ko rokā bahut magar kām nā āyā koī jatan
āj hameṅ kuchh kahnā nahīṅ hāṇ āj hameṅ kuchh karnā hai
chuṭkī bhar siṅdūr terī māṇg meṅ āj hī bharnā hai
māṇge se hameṅ jo nahīṅ milī bas vahī chīz churānī hai
pyāse mausam se kah do hamne pyās bujhānī hai
rāt milan kī āī to ban gayā śhām-saverā badan
ḍar kar apnī bāṇhoṅ meṅ bhar liyā maiṅne terā badan
āj hamāre hoṅṭhoṅ par dil ki kahānī āī hai
hamko koī hośh nahīṅ rut mastānī āī hai
sej sajī hai sapnoṅ kī rāt suhānī āī hai
ab chhāye na chhāye ghaṭā barse na barse sāvan
dil meṅ bahut aṅdherā thā hamne bas āg lagā dī hai
ek dūje kī bāṇhoṅ meṅ chhoṛ chalā hamko bachapan
gup-chup bāteṅ karne lagā tere badan se merā badan
jīne lagā maiṅ marne lagā chhū liyā maiṅne terā badan
rāt milan kī āī to ban gayā śhām-saverā badan
ḍar kar apnī bāṇhoṅ meṅ bhar liyā maiṅne terā badan
āj agar ham dūr rahe phir nahīṅ hogā apnā milan
gup-chup bāteṅ karne lagā tere badan se merā badan
jīne lagā maiṅ marne lagā chhū liyā maiṅne terā badan