Log mujhe paagal kahte hain galiyon men baazaaron men

लोग मुझे पागल कहते हैं गलियों में बाज़ारों में
Year
Language

लोग मुझे पागल कहते हैं गलियों में बाज़ारों में
मैंने प्यार किया है मुझको चुनवा दो दीवारों में

हर पनघट पर मेरे फ़साने चौपालों में ज़िक्‌र मेरा
मेरी ही बातें होती हैं बस्ती में चौबारों में

दुनिया वालो कुछ तो मुझको मेरी वफ़ा की दाद मिले
मैंने दिल के फूल के खिलाये शोलों में अंगारों में

गीत है या आहों का धुवाँ है नग़मा है या दिल की तड़प
इतना दर्द कहाँ से आया साज़ों की झंकारों में

log mujhe pāgal kahte haiṅ galiyoṅ meṅ bāzāroṅ meṅ
maiṅne pyār kiyā hai mujhko chunvā do dīvāroṅ meṅ

har panghaṭ par mere fasāne chaupāloṅ meṅ zik‌ra merā
merī hī bāteṅ hotī haiṅ bastī meṅ chaubāroṅ meṅ

duniyā vālo kuchh to mujhko merī vafā kī dād mile
maiṅne dil ke phūl ke khilāye śholoṅ meṅ aṅgāroṅ meṅ

gīt hai yā āhoṅ kā dhuvāṇ hai naġhmā hai yā dil kī taṛap
itnā dard kahāṇ se āyā sāzoṅ kī jhaṅkāroṅ meṅ