Log kahte hain ajanbee tum ho

लोग कहते हैं अजनबी तुम हो
Year
Language

लोग कहते हैं अजनबी तुम हो
अजनबी मेरी ज़िंदगी तुम हो

दिल किसी और का न हो पाया
आरज़ू मेरी आज भी तुम हो

मुझको अपना शरीक-ए-ग़म कर लो
यूँ अकेले बहुत दुखी तुम हो

दोस्तों से वफ़ा की उम्मीदें
किस ज़माने के आदमी तुम हो

log kahte haiṅ ajanbī tum ho
ajanbī merī ziṅdgī tum ho

dil kisī aur kā na ho pāyā
ārazū merī āj bhī tum ho

mujhko apnā śharīk-e-ġham kar lo
yūṇ akele bahut dukhī tum ho

dostoṅ se vafā kī ummīdeṅ
kis zamāne ke ādmī tum ho