taṅg ā chuke haiṅ kaśhmkaśh-e-zindgī se ham
ṭhukrā nā deṅ jahāṇ ko kahīṅ bedilī se ham
taṅg ā chuke
lo āj hamne toṛ diyā, riśhtā-e-ummīd - 2
lo ab kabhī gilā nā kareṅge kisī se ham
ṭhukrā nā deṅ jahāṇ ko kahīṅ bedilī se ham
taṅg ā chuke
gar zindgī meṅ mil gaye phir ittafāq se - 2
pūchheṅge apnā hāl terī bebsī se ham
ṭhukrā nā deṅ jahāṇ ko kahīṅ bedilī se ham
taṅg ā chuke
o āsmān vāle kabhī to nigāh kar - 2
ab tak ye zulm sahte rahe khāmośhī se ham
ṭhukrā nā deṅ jahāṇ ko kahīṅ bedilī se ham
taṅg ā chuke
taṅg ā chuke haiṅ kaśhmkaśh-e-zindgī se ham
taṅg ā chuke
the last verse was simplified again from the original:
allāh re fareb-e-maśhīyat ke āj tak
duniyā ke zulm sahte rahe khāmośhī se ham
[mśhīyat=the will of god]
another good one from the same ghazal is:
māyūsī-e-māl-e-mohabbat nā pūchhiye
apnoṅ se peśh āye haiṅ begāngī se ham
[māl=termination, also, consequence]
taṅg ā chuke haiṅ kaśhmkaśh-e-ziṅdgī se ham
ṭhukrā na de jahāṇ ko kahīṅ bedilī se ham
ham ġhamazdā haiṅ lāye kahāṇ se khuśhī ke gīt
deṅge vahī jo pāyeṅge is ziṅdgī se ham
ubhreṅge ek bār abhī dil ke valavle
mānā kī dab gaye haiṅ ġham-e-ziṅdgī se ham
lo āj hamne toṛ diyā riśhtā-e-ummīd
lo ab kabhī bhī gilā na kareṅge kisī se ham