Le chalaa jaan meree rooth ke jaanaa teraa

ले चला जान मेरी रूठ के जाना तेरा
Year
Language

ले चला जान मेरी रूठ के जाना तेरा
ऐसा आने से तो बेहतर है न आना तेरा

अपने दिल को भी बताऊँ न ठिकाना तेरा
सब ने जाना, जो पता एक ने जाना तेरा

तु जो ऐ ज़ुल्फ़, परेशान रहा करती है
किसके उजड़े हुए दिल में है ठिकाना तेरा

यह समझ कर तुझे ऐ मौत लगा रखा है
काम आता है बुरे वक़्त में आना तेरा

अपनी आँखों में भी कौंध गई बिजली सी
हम न समझे कि ये आना है कि जाना तेरा

'दाग्' को यूँ वो मिटाते हैं ये फ़र्माते हैं
तो बदल डाल हुआ नाम पुराना तेरा

le chalā jān merī rūṭh ke jānā terā
aisā āne se to behtar hai na ānā terā

apne dil ko bhī batāūṇ na ṭhikānā terā
sab ne jānā, jo patā ek ne jānā terā

tu jo ai zulf, pareśhān rahā kartī hai
kiske ujaṛe hue dil meṅ hai ṭhikānā terā

yah samajh kar tujhe ai maut lagā rakhā hai
kām ātā hai bure vaqt meṅ ānā terā

apnī āṇkhoṅ meṅ bhī kauṅdh gaī bijlī sī
ham na samjhe ki ye ānā hai ki jānā terā

'dāg' ko yūṇ vo miṭāte haiṅ ye farmāte haiṅ
to badal ḍāl huā nām purānā terā