Lagtaa naheen hai jee meraa ujare dayaar men

लगता नहीं है जी मेरा उजड़े दयार में
Year
Language

लगता नहीं है जी मेरा उजड़े दयार में -2
किसकी बनी है आलम-ए-नापायदार में
लगता नहीं है जी मेरा

कह दो इन हसरतों से कहीं और जा बसें -2
कहीं और जा बसें
इतनी जगह कहाँ है दिल-ए-दाग़दार में
इतनी जगह कहाँ है

उम्र-ए-दराज़ माँग के लाये थे चार दिन
लाये थे चार दिन
दो आरज़ू में कट गये दो इंतज़ार में
दो आरज़ू में कट गये

कितना है बदनसीब ज़फ़र दफ़्न के लिये
दफ़्न के लिये
दो ग़ज़ ज़मीन भी न मिली कू-ए-यार में -2
लगता नहीं है जी

lagtā nahīṅ hai jī merā ujaṛe dayār meṅ -2
kiskī banī hai ālam-e-nāpāydār meṅ
lagtā nahīṅ hai jī merā

kah do in hasartoṅ se kahīṅ aur jā baseṅ -2
kahīṅ aur jā baseṅ
itnī jagah kahāṇ hai dil-e-dāġhdār meṅ
itnī jagah kahāṇ hai

umr-e-darāz māṇg ke lāye the chār din
lāye the chār din
do ārazū meṅ kaṭ gaye do iṅtazār meṅ
do ārazū meṅ kaṭ gaye

kitnā hai badansīb zafar dafn ke liye
dafn ke liye
do ġhaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meṅ -2
lagtā nahīṅ hai jī