o ājā re, o ājā re
māṭī pukāre tujhe deśh pukāre, ājā re ab ājā re
bhūle ham rāheṅ hame rāh dikhā de, ājā re rāh dikhā de
ainak pahneṅ lāṭhī pakaṛe chalte the vo śhān se
zālim kāṇpe thar-thar thar-thar sunkar unkā nām re
kad thā unkā chhoṭā sā aur sarpaṭ unkī chāl re
duble se patle se the vo chalte sīnā tānke
baṅde meṅ thā dam, vaṅde mātaram
bhāī bhāī kā duśhman hai banā re, nafrat kī āṇdhī bahtī re
vahśhī diloṅ ko ab pyār sīkhā de, ājā re bāpū ājā re
vaṅde mātaram, baṅde meṅ thā dam vaṅde mātaram
jhūṭh kā baṛhtā jāe rāj o bāpū, apne hī ho gaye dhokebāz
āj hameṅ apnoṅ se bachāne ājā re bāpū mere
vaṅde mātaram, baṅde meṅ thā dam vaṅde mātaram
pāī pāī meṅ iṅsān bikā re, jān ye ho gayī sastī re
soyā zamīr bāpū phir se jagā de, ājā re bāpū mere
vaṅde mātaram, baṅde meṅ thā dam vaṅde mātarm