bār-bār hāṇ bolo yār hāṇ
apnī jīt ho un kī hār hāṇ
koī ham se jīt nā pāve
chale chalo chale chalo
miṭ jāve jo ṭakrāve chale chalo
bhale ghor aṅdherā chhāve
chale chalo chale chalo
koī rāh meṅ nā tham jāve chale chalo
ṭūṭ gaī jo uṇglī uṭṭhī
pāṇchoṅ milīṅ to ban gaī muṭṭhī
ekā baṛhātā hī jāve
chale chalo chale chalo
koī kitnā bhī bahkāve chale chalo
koī nā ab roke tujhe ṭoke tujhe ṭoṛ de baṅdhan sāre
milā hai kyā ho ke tujhe nirbal tū hī batā
kabhī nā dukh jheleṅge kheleṅge aise ke duśhman hāre
ki ab to le leṅge himmat kā rastā
dhartī hilā deṅge sabko dikhā deṅge
rājā hai kyā parjā hai kyā ho
ham jag pe chhāyeṅge ab ye batāyeṅge
ham logoṅ kā darjā hai kyā ho
ab ḍar nahīṅ man meṅ āve
chale chalo, chale chalo
har beṛī ab khul jāve chale chalo
chalā hī chal hāṇf nahīṅ kāṇp nahīṅ rāh meṅ ab tū rāhī
thakan kā sāṇp nahīṅ ab tujhe ḍṇsne pāye
vo hī jo terā hāqim hai zālim hai kī hai jisne tabāhī
ghar us kā pachchhim hai yahāṇ nā basne pāye
dhartī hilā deṅge sabko dikhā deṅge
ham logoṅ kā darjā hai kyā ho
jo honā hai ho jāve chale chalo
ab sar nā koī jhukāve chale chalo
%(may no head ever nīd to stūp tū lov)