har sant kahe har sādhu kahe
sach aur sāhas hai jis ke man meṅ
ant meṅ jīt usī kī hai
u: ājā re ājā re
bhale kitne lambe hoṅ rāste, ho
thake na terā ye tan, ho
ājā re ājā re
sun le pukāre ḍagriyā
rahe na rāste taraste, ho
tū ājā re
is dhartī kā hai rājā tū, ye bāt jān le tū
kaṭhināī se ṭakrā jā tū, nahīṅ hār mān le tū
mitvā sun mitvā, tujh ko kyā ḍar hai re
ye dhartī apnī hai, apnā ambar hai re
o mitvā sun mitvā tujh ko kyā ḍar hai re
ye dhartī apnī hai, apnā ambar hai re
tū ājā re …
a: sun lo re mitvā
jo hai tumhre man meṅ, vo hī hamre man meṅ
jo sapnā hai tumhrā, sapnā vo hī hamrā hai
jīvan meṅ
u: hāṇ, chale ham liye āsā ke diye naynan meṅ
diye hamrī āsāoṅ ke kabhī bujh na pāyeṅ
a: kabhī āṇdhiyāṇ jo ā ke in ko bujhāyeṅ
u: mitvā sun mitvā, tujh ko kyā ḍar hai re …
u: sun lo mitvā
purvā bhī gāyegī, mastī bhī chhāyegī
mil ke pukāro to, phūloṅ vālī jo rut hai
āyegī
a: hāṇ, sukh bhare din duḥakh ke bin lāyegī
ham tum sajāyeṅ āo sapnoṅ ke mele
u: rahte ho kāhe bolo, tum yūṇ akele
mitvā sun mitvā, tujh ko kyā ḍar hai re …
har sant kahe har sādhu kahe
sach aur sāhas hai jis ke man meṅ
ant meṅ jīt usī kī hai
o mitvā, sun mitvā …