Lab pe shiqve to k‌yaa fughaan bhee naheen

लब पे शिक़वे तो क्‌या फ़ुग़ाँ भी नहीं
Year
Language

लब पे शिक़वे तो क्‌या फ़ुग़ाँ भी नहीं
आग भी जल बुझी और धुवाँ भी नहीं

गो बज़ाहिर वो मेहरबाँ भी नहीं
मिन्नतें अपनी रायगाँ भी नहीं

जाने क्‌यूँ तुमसे कुछ नहीं कहते
वरना हम इतने बेज़ुबाँ भी नहीं

वो निगाहें के बेनियाज़ भी हैं
और उनसे कहीं हमाँ भी नहीं

lab pe śhiqve to k‌yā fuġhāṇ bhī nahīṅ
āg bhī jal bujhī aur dhuvāṇ bhī nahīṅ

go bazāhir vo meharbāṇ bhī nahīṅ
minnteṅ apnī rāygāṇ bhī nahīṅ

jāne k‌yūṇ tumse kuchh nahīṅ kahte
varnā ham itne bezubāṇ bhī nahīṅ

vo nigāheṅ ke beniyāz bhī haiṅ
aur unse kahīṅ hamāṇ bhī nahīṅ