Kud se main jang lartaa hoon ... taubaa-taubaa

कुद से मैं जंग लड़ता हूँ ... तौबा-तौबा
Year
Language

ख़ुद से मैं जंग लड़ता हूँ सब से ये कहता हूँ

चारों ओर जो होता है उस से मैं गुस्सा हूँ

तौबा-तौबा नफ़्स मग़रूर है

तौबा-तौबा सच से दूर है

तौबा-तौबा दिल बेनूर है

तौबा-तौबा कैसा दौर है

कब आयेगा वक़्त वो नया

कब पायेंगे सब दिल की आज़ादी को

कब आयेगी वो प्यारी-प्यारी एक सुबह

दौलत बढ़ती है रोज़ तो अमीरों की ही

भूख बढ़ती है रोज़ ही गरीबों की

वादों से तर ज़ुबाँ वक़्त मिलते ही पर

गूँगी हो जाती है उन रहबरों की

चलते हैं अकड़ के ये ज़मीं पे

भूले हैं की जाना है एक दिन उस ज़मीं में

धब्बा है धब्बा कि जैसे चाँद पे धब्बा

धोखा ये धोखा देते हैं ख़ुद को धोखा

सोचो-सोचो ज़रा काफ़ी है एक शमा

जिस से जल उठती यहाँ लखों शमा

सारी दुनिया बदल जायेगी यारो पर

है ज़रूरी बदलना बस एक का

मुस्कुरा के देखना भी नेकी

लोगों की राहों से पत्थर हटाना नेकी

सजदा तू सजदा दुनिया को ना कर सजदा

सजदा हो सजदा बस नाम-ए-ख़ुदा का सजदा
%(सलुततिओन, ओन्ल्य इन थे नमे ओफ़ गोद योउ शोउल्द सलुते)

khud se maiṅ jaṅg laṛtā hūṇ sab se ye kahtā hūṇ

chāroṅ or jo hotā hai us se maiṅ gussā hūṇ

taubā-taubā nafs maġhrūr hai

taubā-taubā sach se dūr hai

taubā-taubā dil benūr hai

taubā-taubā kaisā daur hai

kab āyegā vaqt vo nayā

kab pāyeṅge sab dil kī āzādī ko

kab āyegī vo pyārī-pyārī ek subah

daulat baṛhtī hai roz to amīroṅ kī hī

bhūkh baṛhtī hai roz hī garīboṅ kī

vādoṅ se tar zubāṇ vaqt milte hī par

gūṇgī ho jātī hai un rahabroṅ kī

chalte haiṅ akaṛ ke ye zamīṅ pe

bhūle haiṅ kī jānā hai ek din us zamīṅ meṅ

dhabbā hai dhabbā ki jaise chāṇd pe dhabbā

dhokhā ye dhokhā dete haiṅ khud ko dhokhā

socho-socho zarā kāfī hai ek śhamā

jis se jal uṭhtī yahāṇ lakhoṅ śhamā

sārī duniyā badal jāyegī yāro par

hai zarūrī badalnā bas ek kā

muskurā ke dekhnā bhī nekī

logoṅ kī rāhoṅ se patthar haṭānā nekī

sajdā tū sajdā duniyā ko nā kar sajdā

sajdā ho sajdā bas nām-e-khudā kā sajdā
%(saluttion, only in the name of god you śhould salute)